dukh fasana nahin ki tujh se kahein | दुख फ़साना नहीं कि तुझ से कहें - Ahmad Faraz

dukh fasana nahin ki tujh se kahein
dil bhi maana nahin ki tujh se kahein

aaj tak apni bekli ka sabab
khud bhi jaana nahin ki tujh se kahein

be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahein

ek tu harf-e-aashna tha magar
ab zamaana nahin ki tujh se kahein

qaasida ham faqeer logon ka
ik thikaana nahin ki tujh se kahein

ai khuda dard-e-dil hai bakhsheesh-e-dost
aab-o-daana nahin ki tujh se kahein

ab to apna bhi us gali mein faraaz
aana jaana nahin ki tujh se kahein

दुख फ़साना नहीं कि तुझ से कहें
दिल भी माना नहीं कि तुझ से कहें

आज तक अपनी बेकली का सबब
ख़ुद भी जाना नहीं कि तुझ से कहें

बे-तरह हाल-ए-दिल है और तुझ से
दोस्ताना नहीं कि तुझ से कहें

एक तू हर्फ़-ए-आश्ना था मगर
अब ज़माना नहीं कि तुझ से कहें

क़ासिदा हम फ़क़ीर लोगों का
इक ठिकाना नहीं कि तुझ से कहें

ऐ ख़ुदा दर्द-ए-दिल है बख़्शिश-ए-दोस्त
आब-ओ-दाना नहीं कि तुझ से कहें

अब तो अपना भी उस गली में 'फ़राज़'
आना जाना नहीं कि तुझ से कहें

- Ahmad Faraz
2 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari