muntazir kab se tahayyur hai tiri taqreer ka | मुंतज़िर कब से तहय्युर है तिरी तक़रीर का - Ahmad Faraz

muntazir kab se tahayyur hai tiri taqreer ka
baat kar tujh par gumaan hone laga tasveer ka

raat kya soye ki baaki umr ki neend ud gai
khwaab kya dekha ki dhadka lag gaya taabeer ka

kaise paaya tha tujhe phir kis tarah khoya tujhe
mujh sa munkir bhi to qaael ho gaya taqdeer ka

jis tarah baadal ka saaya pyaas bharkaata rahe
main ne ye aalam bhi dekha hai tiri tasveer ka

jaane kis aalam mein tu bichhda ki hai tere baghair
aaj tak har naqsh fariyaadi meri tahreer ka

ishq mein sar phodna bhi kya ki ye be-mehr log
joo-e-khoon ko naam de dete hain joo-e-sheer ka

jis ko bhi chaaha use shiddat se chaaha hai faraaz
silsila toota nahin hai dard ki zanjeer ka

मुंतज़िर कब से तहय्युर है तिरी तक़रीर का
बात कर तुझ पर गुमाँ होने लगा तस्वीर का

रात क्या सोए कि बाक़ी उम्र की नींद उड़ गई
ख़्वाब क्या देखा कि धड़का लग गया ताबीर का

कैसे पाया था तुझे फिर किस तरह खोया तुझे
मुझ सा मुंकिर भी तो क़ाएल हो गया तक़दीर का

जिस तरह बादल का साया प्यास भड़काता रहे
मैं ने ये आलम भी देखा है तिरी तस्वीर का

जाने किस आलम में तू बिछड़ा कि है तेरे बग़ैर
आज तक हर नक़्श फ़रियादी मिरी तहरीर का

इश्क़ में सर फोड़ना भी क्या कि ये बे-मेहर लोग
जू-ए-ख़ूँ को नाम दे देते हैं जू-ए-शीर का

जिस को भी चाहा उसे शिद्दत से चाहा है 'फ़राज़'
सिलसिला टूटा नहीं है दर्द की ज़ंजीर का

- Ahmad Faraz
2 Likes

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari