nazar se guftugoo khaamosh lab tumhaari tarah
ghazal ne seekhe hain andaaz sab tumhaari tarah
jo pyaas tez ho to ret bhi hai chaadar-e-aab
dikhaai door se dete hain sab tumhaari tarah
bula raha hai zamaana magar tarasta hoon
koi pukaare mujhe be-sabab tumhaari tarah
hawa ki tarah main be-taab hoon ki shaakh-e-gulaab
lahkati hai meri aahat pe ab tumhaari tarah
misaal-e-waqt mein tasveer-e-subh-o-shaam hoon ab
mere vujood pe chhaai hai shab tumhaari tarah
sunaate hain mujhe khwaabon ki dastaan akshar
kahaaniyon ke pur-asraar lab tumhaari tarah
नज़र से गुफ़्तुगू ख़ामोश लब तुम्हारी तरह
ग़ज़ल ने सीखे हैं अंदाज़ सब तुम्हारी तरह
जो प्यास तेज़ हो तो रेत भी है चादर-ए-आब
दिखाई दूर से देते हैं सब तुम्हारी तरह
बुला रहा है ज़माना मगर तरसता हूँ
कोई पुकारे मुझे बे-सबब तुम्हारी तरह
हवा की तरह मैं बे-ताब हूँ कि शाख़-ए-गुलाब
लहकती है मिरी आहट पे अब तुम्हारी तरह
मिसाल-ए-वक़्त में तस्वीर-ए-सुब्ह-ओ-शाम हूँ अब
मिरे वजूद पे छाई है शब तुम्हारी तरह
सुनाते हैं मुझे ख़्वाबों की दास्ताँ अक्सर
कहानियों के पुर-असरार लब तुम्हारी तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Nature Shayari Shayari