maa | माँ - Rohit Upadhyay

maa

ek jaadugari tumne dekhi hai
ek mein main ne us khuda ko rakha hai

bade itminaan se socha hai
phir har pahluu mein jahaan ko rakha hai

har aawaargi mein ghoomta hoon patangon ki tarah
us zameen se neeche aasmaan ko rakha hai

aur sukoon ki neend aati hai
uske aanchal ki ot mein
har sabooton aur gawaahon.
ko madde-nazar rakhte hue
sabse pehle maa ko rakha hai

माँ

एक जादूगरी तुमने देखी है
एक में मैं ने उस ख़ुदा को रखा है

बड़े इत्मीनान से सोचा है
फिर हर पहलू में जहाँ को रखा है

हर आवारगी में घूमता हूॅं पतंगों की तरह
उस ज़मीं से नीचे आसमाॅं को रखा है

और सुकूॅं की नींद आती है
उसके ऑंचल की ओट में
हर सबूतों और गवाहों
को मद्देनज़र रखते हुए
सबसे पहले माँ को रखा है

- Rohit Upadhyay
1 Like

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Rohit Upadhyay

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari