bhejna chahiye tha use kuch bhale bediyaan bhejta | भेजना चाहिए था उसे कुछ, भले बेड़ियाँ भेजता - ABU TAIBA KHAN AZBAR

bhejna chahiye tha use kuch bhale bediyaan bhejta
saath mein khudkushi ke liye zahar ki sheeshiyaan bhejta

usne is baar bhi phool bheje hain pichhli baras ki tarah
bhejna hi tha to kuch naya bhejta titliyan bhejta

ab kisi kaam ke hi nahin hain ye marham ye charagari
chaara gar se kaho ye dava hijr ke darmiyaan bhejta

sach mein khush dekhna chahta hai vo mujhko to dil bhejta
saath mein apne dil par lage taalon ki chaabiyaan bhejta

भेजना चाहिए था उसे कुछ, भले बेड़ियाँ भेजता
साथ में ख़ुदकुशी के लिए ज़हर की शीशियाँ भेजता

उसने इस बार भी फूल भेजे हैं पिछली बरस की तरह
भेजना ही था तो कुछ नया भेजता, तितलियाँ भेजता

अब किसी काम के ही नहीं हैं ये मरहम ये चारागरी
चारा गर से कहो ये दवा हिज्र के दर्मियाँ भेजता

सच में ख़ुश देखना चाहता है वो मुझको तो दिल भेजता
साथ में अपने दिल पर लगे तालों की चाबियाँ भेजता

- ABU TAIBA KHAN AZBAR
5 Likes

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ABU TAIBA KHAN AZBAR

As you were reading Shayari by ABU TAIBA KHAN AZBAR

Similar Writers

our suggestion based on ABU TAIBA KHAN AZBAR

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari