aansuon se abhi juda na karo
zakham ko aur bhi bura na karo
main ne kuchh bola aur chale gaye tum
itni si baat par saza na karo
teer saare meri taraf ke hain
apne raaste se tum hata na karo
main akela hi kaafi hoon yaaron
mere khaatir koi dua na karo
raushni mein bhi dikhte hi nahin tum
so andheron mein tum chhupa na karo
hijr se mujhko mar hi jaane do
mere is dard ki dava na karo
आँसुओं से अभी जुदा न करो
ज़ख़्म को और भी बुरा न करो
मैं ने कुछ बोला और चले गए तुम
इतनी सी बात पर सज़ा न करो
तीर सारे मिरी तरफ़ के हैं
अपने रस्ते से तुम हटा न करो
मैं अकेला ही काफ़ी हूँ यारों
मेरे ख़ातिर कोई दुआ न करो
रौशनी में भी दिखते ही नहीं तुम
सो अँधेरों में तुम छुपा न करो
हिज्र से मुझको मर ही जाने दो
मेरे इस दर्द की दवा न करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Raasta Shayari Shayari