ashkon ke dariya mein utar jaana
aasaan hota nahin udhar jaana
ishq ko kuchh nahin samjhte the
jab hua khud ko tab asar jaana
jaante ho ki usne kya bola
meri ye aankhen choom kar jaana
tera hona ajeeb tha maano
teer lagne se zakhm bhar jaana
kyun gamon ki hai justajoo itni
achyutam waqt hai nikhar jaana
अश्कों के दरिया में उतर जाना
आसाँ होता नहीं उधर जाना
इश्क़ को कुछ नहीं समझते थे
जब हुआ ख़ुद को तब असर जाना
जानते हो कि उसने क्या बोला?
‘मेरी ये आँखें चूम कर जाना’
तेरा होना अजीब था मानो
तीर लगने से ज़ख्म भर जाना
क्यों ग़मों की है जुस्तजू इतनी
अच्युतम, वक्त है, निखर जाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Ulfat Shayari Shayari