baat ban na paayegi chand eenten dhahne se
hai azeem mahal-e-gham mere dil ke raqba se
chhod di hai dil ne zid ab udaas rahne kii
aur chahte hain kya aap ek bacche se
talkh-lahje se deewaar darmiyaan uthi thi jo
aakhirsh giri bhi aaj lahja hi badlne se
pehle to nahin samjha uski nafraton ko main
sarhadein hui zaahir harkaton ke naksh se
hoon main ba-hunar naqqaash par adq hai ye zimma
ik badan banaana hai vo bhi ek saaye se
imtihaan mohabbat ka raayegaan gaya itna
naam list mein apna dhoondhta hoon neeche se
in khilauno pe hi to kab se leti hai abtar
laash apne bachpan kii dhoondh li hai bakse se
बात बन न पाएगी चंद ईंटें ढहने से
है अज़ीम महल-ए-ग़म मेरे दिल के रक़्बे से
छोड़ दी है दिल ने ज़िद अब उदास रहने की
और चाहते हैं क्या आप एक बच्चे से
तल्ख़-लहजे से दीवार दरमियाँ उठी थी जो
आख़िरश गिरी भी आज लहजा ही बदलने से
पहले तो नहीं समझा उसकी नफ़रतों को मैं
सरहदें हुईं ज़ाहिर हरकतों के नक़्शे से
हूँ मैं बा-हुनर नक़्क़ाश पर अदक़ है ये ज़िम्मा
इक बदन बनाना है वो भी एक साए से
इम्तिहाँ मोहब्बत का राएगाँ गया इतना
नाम लिस्ट में अपना ढूँढता हूँ नीचे से
इन खिलौनों पे ही तो कब से लेटी है 'अबतर'
लाश अपने बचपन की ढूँढ ली है बक्से से
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading undefined Shayari