badan ke saath uska dil bhi zakhami tha
nadi bhi zakhami thi saahil bhi zakhami tha
nishaan-e-khoon kiska hoga kapde par
ho saka hai mera qaatil bhi zakhami tha
samay bebakon ka marham hi aakhir kyun
haqeeqat mein dil-e-buzdil bhi zakhami tha
hamaari basti mein kyun chhoda tha bichhoo
girl se jiske khud jaahil bhi zakhami tha
sabhi buniyaad pe hi dhahte hain yaaron
na samjhaao ki kyun baatil bhi zakhami tha
बदन के साथ उसका दिल भी ज़ख़्मी था
नदी भी ज़ख़्मी थी साहिल भी ज़ख़्मी था
निशाँ-ए-ख़ून किसका होगा कपड़े पर
हो सकता है मिरा क़ातिल भी ज़ख़्मी था
समय बेबाकों का मरहम ही आख़िर क्यों
हक़ीक़त में दिल-ए-बुज़दिल भी ज़ख़्मी था
हमारी बस्ती में क्यों छोड़ा था बिच्छू
गरल से जिसके ख़ुद जाहिल भी ज़ख़्मी था
सभी बुनियाद पे ही ढहते हैं यारों
न समझाओ कि क्यों बातिल भी ज़ख़्मी था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Anjam Shayari Shayari