bin baali pahne bacchi ke vo kaan dekhiye
laachaari muflisi ke bhi guldaan dekhiye
dikhne mein himmati nahin majboor lagte hain
aise mein naukri koi aasaan dekhiye
ab raajgeer se hi tarasha ja saka hai
patthar sa ho gaya hai vo insaan dekhiye
chamkaaya to bahut gaya aaine ko magar
tasveer kyun hai itni pareshaan dekhiye
mere badan ki gand hawaon ne chhod di
kitni galeez nikli meri jaan dekhiye
बिन बाली पहने बच्ची के वो कान देखिए
लाचारी, मुफ़लिसी के भी गुलदान देखिए
दिखने में हिम्मती नहीं मजबूर लगते हैं
ऐसे में नौकरी कोई आसान देखिए
अब राजगीर से ही तराशा जा सकता है
पत्थर सा हो गया है, वो इंसान देखिए
चमकाया तो बहुत गया आईने को मगर
तस्वीर क्यों है इतनी परेशान देखिए
मेरे बदन की गंद हवाओं ने छोड़ दी
कितनी गलीज़ निकली मिरी जान देखिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Mehboob Shayari Shayari