bulaati thi fazaa par tum na aaye | बुलाती थी फ़ज़ा पर तुम न आए - Achyutam Yadav 'Abtar'

bulaati thi fazaa par tum na aaye
har ik din di sada par tum na aaye

kama laaya wafa par tum na aaye
na ki koi khata par tum na aaye

tumhaari yaadon ko rakha saja ke
kiya sab haq ada par tum na aaye

kabhi to dekhne aate use tum
khuda rota raha par tum na aaye

tumhaare naam ke hi aable hain
hui kitni jafa par tum na aaye

khafa tumse nahin hoon main abhi bhi
hua khud se khafa par tum na aaye

बुलाती थी फ़ज़ा पर तुम न आए
हर इक दिन दी सदा पर तुम न आए

कमा लाया वफ़ा पर तुम न आए
न की कोई ख़ता पर तुम न आए

तुम्हारी यादों को रक्खा सजा के
किया सब हक़ अदा पर तुम न आए

कभी तो देखने आते उसे तुम
ख़ुदा रोता रहा पर तुम न आए

तुम्हारे नाम के ही आबले हैं
हुई कितनी जफ़ा पर तुम न आए

ख़फ़ा तुमसे नहीं हूँ मैं अभी भी
हुआ ख़ुद से ख़फ़ा पर तुम न आए

- Achyutam Yadav 'Abtar'
0 Likes

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari