ek to ik pareshaani se apni hairaan hoon | एक तो इक परेशानी से अपनी हैरान हूँ

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

ek to ik pareshaani se apni hairaan hoon
aur phir aisi hairaani se bhi pareshaan hoon

jang aisi chhidi hai khuda banne kii logon mein
maano khud kah diya ho khuda ne main insaan hoon

umr bhar punya karke hua ilm iska mujhe
khuld mein bhi faqat chaar din ka hi mehmaan hoon

kin charaagon ko aakhir bujhaana hai kin ko nahin
ilm hai iska main ek mohtaath toofaan hoon

aapne marne ke baad kii zindagi dekhi hai
dekhiye mujhko us zindagi kii hi pehchaan hoon

bolne lag gai hai mere ghar kii har ek shay
apne ghar mein main abtar ab iklaauta samaan hoon

एक तो इक परेशानी से अपनी हैरान हूँ
और फिर ऐसी हैरानी से भी परेशान हूँ

जंग ऐसी छिड़ी है ख़ुदा बनने की लोगों में
मानो ख़ुद कह दिया हो ख़ुदा ने मैं इंसान हूँ

उम्र भर पुण्य करके हुआ इल्म इसका मुझे
ख़ुल्द में भी फ़क़त चार दिन का ही मेहमान हूँ

किन चराग़ों को आख़िर बुझाना है किन को नहीं
इल्म है इसका मैं एक मोहतात तूफ़ान हूँ

आपने मरने के बाद की ज़िंदगी देखी है
देखिए मुझको उस ज़िंदगी की ही पहचान हूँ

बोलने लग गई है मेरे घर की हर एक शय
अपने घर में मैं अबतर अब इकलौता सामान हूँ

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari