gamon ki baarish kara ke dil mein yun laapata ek khwaab ho tum | ग़मों की बारिश करा के दिल में यूँ लापता एक ख़्वाब हो तुम

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

gamon ki baarish kara ke dil mein yun laapata ek khwaab ho tum
ye chaandni odhe mat chalo sabko ilm hai aaftaab ho tum

harees hota raha hai mere bagiche ka ek tanhaa kaanta
ye ab na kehna mujhe kisi aur baag ke bhi gulaab ho tum

pahaad se har sarkati shabnam ki boond tum ko raqeeb maane
bujha bhi do unki ye jalan kab se ek badnaam aab ho tum

tumheen kahe teergi bhi haqdaar hogi thodi si raushni ki
hamein bhank tak hui na iski ki shams ke hi naqaab ho tum

fata hua ik varq tha jisko masal ke fenka gaya tha yun hi
panaah de jo mujhe vo ik aakhiri makaan si kitaab ho tum

tiki hai mitti ki ek deewaar ke badaulat abhi bhi rifat
bhale hi baarish ki boonden kahti raheen ki naakaamyaab ho tum

ग़मों की बारिश करा के दिल में यूँ लापता एक ख़्वाब हो तुम
ये चाँदनी ओढ़े मत चलो सबको इल्म है आफ़ताब हो तुम

हरीस होता रहा है मेरे बग़ीचे का एक तन्हा काँटा
ये अब न कहना मुझे किसी और बाग़ के भी ग़ुलाब हो तुम

पहाड़ से हर सरकती शबनम की बूँद तुम को रक़ीब माने
बुझा भी दो उनकी ये जलन, कब से एक बदनाम आब हो तुम

तुम्हीं कहे तीरगी भी हक़दार होगी थोड़ी सी रौशनी की
हमें भनक तक हुई न इसकी कि शम्स के ही नक़ाब हो तुम

फटा हुआ इक वरक़ था जिसको मसल के फेंका गया था यूँ ही
पनाह दे जो मुझे वो इक आख़िरी मकाँ सी किताब हो तुम

टिकी है मिट्टी की एक दीवार के बदौलत अभी भी रिफ़अत
भले ही बारिश की बूँदें कहती रहीं कि नाकामयाब हो तुम

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari