garmi mein to pedon se yaari rahti hai
sardi mein kyun haathon mein aari rahti hai
maine usi mein man rakha hoga kabhi
is wajah se hi jeb bhari rahti hai
kya jaane kab ho jaaye baarish unpe bhi
har aapgaa soorat sanwaari rahti hai
bik jaane de ye meri saansen aaj tu
in mein hi to meri udhaari rahti hai
ye dushmani bhi kuchh muhabbat si lagi
mar kar bhi aulaadon mein jaari rahti hai
ghar beche koi aur to ye sochun main
kyun daav par izzat hamaari rahti hai
गर्मी में तो पेड़ों से यारी रहती है
सर्दी में क्यों हाथों में आरी रहती है
मैंने उसी में मन रखा होगा कभी
इस वजह से ही जेब भारी रहती है
क्या जाने कब हो जाए बारिश उनपे भी
हर आपगा सूरत सँवारी रहती है
बिक जाने दे ये मेरी साँसें आज तू
इन में ही तो मेरी उधारी रहती है
ये दुश्मनी भी कुछ मुहब्बत सी लगी
मर कर भी औलादों में जारी रहती है
घर बेचे कोई और तो ये सोचूँ मैं
क्यों दाव पर इज्ज़त हमारी रहती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari