gharaunde bacchon ke khaatir banata hoon
main mitti ko bhi mitti se sajaata hoon
sukoon ki neend aa sakti nahin mujhko
main apni saanson par patthar lagata hoon
mere haathon mein murjha jaaten hain paudhe
hatheli se khizaan aisi chalaata hoon
fana khaamoshi se ik din dabochegi
nafa jaan ka ho to damroo bajaata hoon
savere ko zara thamne do tum tab tak
main ghaarat shab ko ghaafil se jagaata hoon
bina agar ke saaye mein hoon ab tak main ki
thake maa-baap ke paavon dabaata hoon
kahaan milte hain peshaawar mere jaise
charaagaan bechkar raunak kamata hoon
घरौंदे बच्चों के ख़ातिर बनाता हूँ
मैं मिट्टी को भी मिट्टी से सजाता हूँ
सुकूँ की नींद आ सकती नहीं मुझको
मैं अपनी साँसों पर पत्थर लगाता हूँ
मिरे हाथों में मुरझा जातें हैं पौधे
हथेली से ख़िज़ाँ ऐसी चलाता हूँ
फ़ना ख़ामोशी से इक दिन दबोचेगी
नफ़ा जाँ का हो तो डमरू बजाता हूँ
सवेरे को ज़रा थमने दो तुम, तब तक
मैं ग़ारत शब को ग़ाफ़िल से जगाता हूँ
बिना ज़ुल्फ़ों के साए में हूँ अब तक मैं कि
थके माँ-बाप के पाँवों दबाता हूँ
कहाँ मिलते हैं पेशावर मिरे जैसे
चराग़ाँ बेचकर रौनक कमाता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Bahana Shayari Shayari