gul-e-tar bhale aap ke ho gaye | गुल-ए-तर भले आप के हो गए - Achyutam Yadav 'Abtar'

gul-e-tar bhale aap ke ho gaye
lab-e-gul magar khaar se ho gaye

zara umr ka faasla hi hai wajh
ki ta-umr ke faasle ho gaye

hamaara to bachpan gaya hi nahin
hamaare khilone bade ho gaye

zara bahs kya ho gai maut se
janaaze se uth ke khade ho gaye

bas ik phoonk se bujh gaya aasmaan
sitaare bhi maano diye ho gaye

hui zard saansen tiri is qadar
mere dil ke patthar hare ho gaye

na tha koii ghar so chalo mar ke ham
kam-az-kam kisi ghaat ke ho gaye

mujhe mar ke bhi kaam aana pada
mere naam par raaste ho gaye

गुल-ए-तर भले आप के हो गए
लब-ए-गुल मगर ख़ार से हो गए

ज़रा उम्र का फ़ासला ही है वज्ह
कि ता-उम्र के फ़ासले हो गए

हमारा तो बचपन गया ही नहीं
हमारे खिलौने बड़े हो गए

ज़रा बहस क्या हो गई मौत से
जनाज़े से उठ के खड़े हो गए

बस इक फूँक से बुझ गया आसमाँ
सितारे भी मानो दिए हो गए

हुईं ज़र्द साँसें तिरी इस क़दर
मिरे दिल के पत्थर हरे हो गए

न था कोई घर सो चलो मर के हम
कम-अज़-कम किसी घाट के हो गए

मुझे मर के भी काम आना पड़ा
मिरे नाम पर रास्ते हो गए

- Achyutam Yadav 'Abtar'
0 Likes

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari