har siyaasi jumle se hairaan hote hain | हर सियासी जुमले से हैरान होते हैं

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

har siyaasi jumle se hairaan hote hain
jo samjhte hi nahin naadaan hote hain

humsafar ka saath akshar chhod deta hoon
aakhir unke bhi to kuchh samaan hote hain

dikhne mein kuchh kaam hote hain bahut mushkil
par haan karne mein bahut aasaan hote hain

kuchh nahin kar saka unka hirs ka toofaan
jinke behad sarpar eimaan hote hain

in charaagon se nahin saanson se poocho tum
in hawaon ke bahut ehsaan hote hain

har taraf keval imarat hi imarat hai
ab kahaan itne khule maidaan hote hain

dhoop khushiyon ki gamon ke saaye se nikli
kaise kaise jaane yaa ailaan hote hain

tab to palkon pe theharna hai nahin mumkin
sansanee aankhon mein jab toofaan hote hain

tajarbe aise nahin milte tabarra mein
tajarbe jo ishq ke dauraan hote hain

zindagi ko kuchh nahin milta hai mujh se par
roz ki taftishon se nuqsaan hote hain

हर सियासी जुमले से हैरान होते हैं
जो समझते ही नहीं नादान होते हैं

हमसफ़र का साथ अक्सर छोड़ देता हूँ
आख़िर उनके भी तो कुछ सामान होते हैं

दिखने में कुछ काम होते हैं बहुत मुश्किल
पर हाँ करने में बहुत आसान होते हैं

कुछ नहीं कर सकता उनका हिर्स का तूफ़ान
जिनके बेहद मुस्तक़िल ईमान होते हैं

इन चराग़ों से नहीं साँसों से पूछो तुम
इन हवाओं के बहुत एहसान होते हैं

हर तरफ़ केवल इमारत ही इमारत है
अब कहाँ इतने खुले मैदान होते हैं

धूप ख़ुशियों की ग़मों के साए से निकली
कैसे कैसे जाने याँ ऐलान होते हैं

तब तो पलकों पे ठहरना है नहीं मुमकिन
सनसनी आँखों में जब तूफ़ान होते हैं

तजरबे ऐसे नहीं मिलते तबर्रा में
तजरबे जो इश्क़ के दौरान होते हैं

ज़िन्दगी को कुछ नहीं मिलता है मुझ से पर
रोज़ की तफ़तीशों से नुक़्सान होते हैं

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari