hum-safar to chahiye aisa jo shehzaada ho | हम-सफ़र तो चाहिए ऐसा जो शहज़ादा हो

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

hum-safar to chahiye aisa jo shehzaada ho
aur shehzaada bhi vo jo uska deewaana ho

bin ijaazat kii tumhaari kaun aa saktaa hai
ab tumhin is dil kii chaabi aur tumhin taalaa ho

mera qaatil ban raha hai is tarah se maasoom
jaise usne mujhko nai maine use maara ho

aata hai paani ka pyaasa bhi isi dariya par
vo bhi aata hai jo apne khoon ka pyaasa ho

wasf bolo isko ya kambakhti ik muflis kii
jeeta hai sau din bhale hi rizq do din ka ho

ek boodha shakhs guzra saamne se jab aaj
to laga jaise ki aane waala kal guzra ho

saanson kii bakhshish agar ho jaaye mumkin abtar
dehr mein phir har kisi ke haath mein qaasa ho

हम-सफ़र तो चाहिए ऐसा जो शहज़ादा हो
और शहज़ादा भी वो जो उसका दीवाना हो

बिन इजाज़त की तुम्हारी कौन आ सकता है
अब तुम्हीं इस दिल की चाबी और तुम्हीं ताला हो

मेरा क़ातिल बन रहा है इस तरह से मासूम
जैसे उसने मुझको नईं मैंने उसे मारा हो

आता है पानी का प्यासा भी इसी दरिया पर
वो भी आता है जो अपने ख़ून का प्यासा हो

वस्फ़ बोलो इसको या कमबख़्ती इक मुफ़्लिस की
जीता है सौ दिन भले ही रिज़्क़ दो दिन का हो

एक बूढ़ा शख़्स गुज़रा सामने से जब आज
तो लगा जैसे कि आने वाला कल गुज़रा हो

साँसों की बख़्शिश अगर हो जाए मुमकिन अबतर
दहर में फिर हर किसी के हाथ में कासा हो

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari