ilzaam hi ilzaam kamaati hai siyaasat
dozakh mein ghareebon ko le jaati hai siyaasat
baatein to bahut ki gaeein manshoor mein lekin
baaraan in aankhon mein le aati hai siyaasat
zahreeli hawa banke isee mulk mein rahke
lehraate tirange ko sataati hai siyaasat
sona bana de haath laga de jise phir bhi
afsaane gareebon ke chhupaati hai siyaasat
jo hai hi nahin aadmi ko dikhta hai vo bhi
dekho to ye jaadu bhi dikhaati hai siyaasat
इल्ज़ाम ही इल्ज़ाम कमाती है सियासत
दोज़ख़ में ग़रीबों को ले जाती है सियासत
बातें तो बहुत की गईं मंशूर में लेकिन
बारान इन आँखों में ले आती है सियासत
ज़हरीली हवा बनके, इसी मुल्क में रहके
लहराते तिरंगे को सताती है सियासत
सोना बना दे हाथ लगा दे जिसे, फिर भी
अफ़साने ग़रीबों के छुपाती है सियासत
जो है ही नहीं आदमी को दिखता है वो भी
देखो तो ये जादू भी दिखाती है सियासत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Nature Shayari Shayari