is udaasi ko rulaana chahta hoon
main masarrat ko churaana chahta hoon
koi ranjish ho ya koi haadsa ho
main to keval muskurana chahta hoon
kyun nahin kam hoti mere ghar mein shakkar
tum se milne ka bahaana chahta hoon
tera dil dariya hai to usmein main apni
dil ki kashti ko dubaana chahta hoon
zindagi ke saath kab tak baithe rahte
ab yahan se uth ke jaana chahta hoon
ab kahaan se laayein itna saara paani
aag ashkon se bujhaana chahta hoon
इस उदासी को रुलाना चाहता हूँ
मैं मसर्रत को चुराना चाहता हूँ
कोई रंजिश हो या कोई हादसा हो
मैं तो केवल मुस्कुराना चाहता हूँ
क्यों नहीं कम होती मेरे घर में शक्कर
तुम से मिलने का बहाना चाहता हूँ
तेरा दिल दरिया है तो उसमें मैं अपनी
दिल की कश्ती को डुबाना चाहता हूँ
ज़िन्दगी के साथ कब तक बैठे रहते
अब यहाँ से उठ के जाना चाहता हूँ
अब कहाँ से लाएँ इतना सारा पानी
आग अश्कों से बुझाना चाहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Paani Shayari Shayari