ishq ke raayate thama dena
aur hawaon ko sab bata dena
phoolon ki jaan kaanton ne le li
unko is paap ki saza dena
ho sake gar to ai hawaon tum
aankhon ke jharne ko sukha dena
kuchh samajhkar ganit ye ulfat ki
faaslon ko zara ghatta dena
aandhi aa jaaye meri aankhon mein
palkon ko is tarah gira dena
achyutam tha nahin riqab kabhi
baadshaahon ko ye bata dena
इश्क़ के रायते थमा देना
और हवाओं को सब बता देना
फूलों की जान काँटों ने ले ली
उनको इस पाप की सज़ा देना
हो सके गर तो ऐ हवाओं तुम
आँखों के झरने को सुखा देना
कुछ समझकर गणित ये उल्फ़त की
फासलों को ज़रा घटा देना
आँधी आ जाए मेरी आँखों में
पलकों को इस तरह गिरा देना
'अच्युतम' था नहीं रिक़ाब कभी
बादशाहों को ये बता देना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Justice Shayari Shayari