itna jalte the ki ham aaftaab ban gaye
jab hate nazar se to ek khwaab ban gaye
jo numaishen kiya karte the kabhi yahan
khud hi apne zakhmon ke vo naqaab ban gaye
meethe lafzon ke varq poochte hain mujh se ye
kyun hiqaraton ki tum ik kitaab ban gaye
chal na paaye thoda bhi dekhkar vo aaina
aur hamko kahte hain ham sharaab ban gaye
kaanton se bhare safar mein bhi tum to achyutam
dekhte hi dekhte ik gulaab ban gaye
इतना जलते थे कि हम आफ़ताब बन गए
जब हटे नज़र से तो एक ख़्वाब बन गए
जो नुमाइशें किया करते थे कभी यहाँ
ख़ुद ही अपने ज़ख़्मों के वो नक़ाब बन गए
मीठे लफ़्ज़ों के वरक़ पूछते हैं मुझ से ये
क्यों हिक़ारतों की तुम इक किताब बन गए
चल न पाए थोड़ा भी देखकर वो आइना
और हमको कहते हैं हम शराब बन गए
काँटों से भरे सफ़र में भी तुम तो 'अच्युतम'
देखते ही देखते इक गुलाब बन गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Aankhein Shayari Shayari