jo shohrat se jal jaate hain
tanhaai mein dhal jaate hain
patthar se bhi thos the jo log
jaane kaise pighal jaate hain
takhri pe mat tolo inko
insaan pal mein badal jaate hain
itna oob gaye kharchon se
jannat bhi paidal jaate hain
khaamoshi kaise thehregi
yaa toofaan fisal jaate hain
जो शोहरत से जल जाते हैं
तन्हाई में ढल जाते हैं
पत्थर से भी ठोस थे जो लोग
जाने कैसे पिघल जाते हैं
तखरी पे मत तोलो इनको
इंसाँ पल में बदल जाते हैं
इतना ऊब गए ख़र्चों से
जन्नत भी पैदल जाते हैं
ख़ामोशी कैसे ठहरेगी
याँ तूफ़ान फिसल जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Insaan Shayari Shayari