kaam chaandi se chalaaya ja raha hai
aab sone ka chhdaaya ja raha hai
ik farebi aasmaan sa kuchh banaakar
shams ko yoonhi fansaaya ja raha hai
ye ajooba dekhkar hairat mein hoon main
door mujhse mera saaya ja raha hai
sabziyon ke daam haathon se hi poocho
beech mein kyun chaaqoo laaya ja raha hai
aur thodi si zameen ki justajoo mein
taal tak ko bhi sukhaaya ja raha hai
shakl ki upmaa nayi khojo ki ye chaand
rahne ke laayak banaya ja raha hai
shaakon se bachpan ki yaadein tootti hain
jab bhi pedon ko hilaaya ja raha hai
काम चाँदी से चलाया जा रहा है
आब सोने का चढ़ाया जा रहा है
इक फ़रेबी आसमाँ सा कुछ बनाकर
शम्स को यूँही फँसाया जा रहा है
ये अजूबा देखकर हैरत में हूँ मैं
दूर मुझसे मेरा साया जा रहा है
सब्ज़ियों के दाम हाथों से ही पूछो
बीच में क्यों चाक़ू लाया जा रहा है
और थोड़ी सी ज़मीं की जुस्तजू में
ताल तक को भी सुखाया जा रहा है
शक्ल की उपमा नई खोजो कि ये चाँद
रहने के लायक बनाया जा रहा है
शाख़ों से बचपन की यादें टूटती हैं
जब भी पेड़ों को हिलाया जा रहा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Eid Shayari Shayari