kabhi to dhoop se patthar banata hai
khuda to aab se paikar banata hai
mujhe to doobna padta hi hai aakhir
kuaan mere liye saagar banata hai
zamaane ki kulhaadi se hi bachne ko
shajar khud ke liye khanjar banata hai
qafas ka dar dikhaane ke liye naqqaash
qafas chidiya ke hi bheetar banata hai
har ik thokar ka har ik mod ka hai ilm
mujhe khud raasta rahbar banata hai
कभी तो धूप से पत्थर बनाता है
ख़ुदा तो आब से पैकर बनाता है
मुझे तो डूबना पड़ता ही है आख़िर
कुआँ मेरे लिए सागर बनाता है
ज़माने की कुल्हाड़ी से ही बचने को
शजर ख़ुद के लिए ख़ंजर बनाता है
क़फ़स का डर दिखाने के लिए नक़्क़ाश
क़फ़स चिड़िया के ही भीतर बनाता है
हर इक ठोकर का, हर इक मोड़ का है इल्म
मुझे ख़ुद रास्ता रहबर बनाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Shajar Shayari Shayari