kaaya mitti ki liye baitha zamaana bhi to hai | काया मिट्टी की लिए बैठा ज़माना भी तो है

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

kaaya mitti ki liye baitha zamaana bhi to hai
aasmaan mein dhool bankar jisko aana bhi to hai

ek to manzil nahin milti bhatkne se yahan
phir hunar se bakht ka saaya chhipaana bhi to hai

tum nibhaana saath apne chaand ka har ik dafa
ik na ik din maula ko suraj bujhaana bhi to hai

bhar do mere maqbare ko aur phoolon se zara
hai khafa mujh se fana usko manana bhi to hai

काया मिट्टी की लिए बैठा ज़माना भी तो है
आसमाँ में धूल बनकर जिसको आना भी तो है

एक तो मंज़िल नहीं मिलती भटकने से यहाँ
फिर हुनर से बख़्त का साया छिपाना भी तो है

तुम निभाना साथ अपने चाँद का हर इक दफ़ा
इक न इक दिन मौला को सूरज बुझाना भी तो है

भर दो मेरे मक़बरे को और फूलों से ज़रा
है ख़फ़ा मुझ से फ़ना उसको मनाना भी तो है

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari