khuld ka rasta mujhko bataati hai maa | ख़ुल्द का रस्ता मुझको बताती है माँ

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

khuld ka rasta mujhko bataati hai maa
thokren mere hisson ki khaati hai maa

uske saaye se bhi main lipt jaata hoon
jab kabhi bhi diye ko jalaati hai maa

maangti hai qazaa jab bhi apna hisaab
meri saanson ka qarza chukaati hai maa

beti patni bahu to kabhi banke dost
farz saare ke saare nibhaati hai maa

naqsh mera kabhi mit na paaya yahan
apne kaajal se mujh ko banaati hai maa

achyutam shehar mein ja ke kyun bas gaya
tere khat aansuon se mitaati hai maa

ख़ुल्द का रस्ता मुझको बताती है माँ
ठोकरें मेरे हिस्सों की खाती है माँ

उसके साए से भी मैं लिपट जाता हूँ
जब कभी भी दिए को जलाती है माँ

माँगती है क़ज़ा जब भी अपना हिसाब
मेरी साँसों का क़र्ज़ा चुकाती है माँ

बेटी, पत्नी, बहू तो कभी बनके दोस्त
फ़र्ज़ सारे के सारे निभाती है माँ

नक़्श मेरा कभी मिट न पाया यहाँ
अपने काजल से मुझ को बनाती है माँ

'अच्युतम' शहर में जा के क्यों बस गया
तेरे ख़त आँसुओं से मिटाती है माँ

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari