kya sach mein vo laachaar tha | क्या सच में वो लाचार था

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

kya sach mein vo laachaar tha
ya phir koi gaddaar tha

mahfooz tha main lehron mein
jo dooba vo us paar tha

ghaate mein lagta tha nafa
aisa bhi ik bazaar tha

sach ka pata hai hi nahin
aur haath mein akhbaar tha

barsaaye mujhpar kitne phool
marna bhi kya tyaohar tha

raaste hi dushman the mere
patthar mera jab yaar tha

khoti hain nazren uski jo
aankhon ka daavedaar tha

क्या सच में वो लाचार था
या फिर कोई ग़द्दार था

महफूज़ था मैं लहरों में
जो डूबा वो उस पार था

घाटे में लगता था नफ़ा
ऐसा भी इक बाज़ार था

सच का पता है ही नहीं
और हाथ में अख़बार था

बरसाए मुझपर कितने फूल
मरना भी क्या त्यौहार था

रस्ते ही दुश्मन थे मेरे
पत्थर मिरा जब यार था

खोटी हैं नज़रें उसकी जो
आँखों का दावेदार था

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari