kyun labon pe tiri nahin nahin hai
tujhko kya mujhpe bhi yakeen nahin hai
dekhte ho hazaar baar use
aur kahte ho vo haseen nahin hai
iltijaa bhi kare mu'aafi bhi de
itna achha bashar kahi nahin hai
mere in ratb hothon ke neeche
kyun tiri khushk si jabeen nahin hai
ek taazeer aansuon ne di
teri tasveer hum-nasheen nahin hai
achyutam dil ik aisa aasmaan hai
jiske neeche koi zameen nahin hai
क्यों लबों पे तिरी 'नहीं' 'नहीं' है
तुझको क्या मुझपे भी यकीं नहीं है
देखते हो हज़ार बार उसे
और कहते हो वो हसीं नहीं है
इल्तिजा भी करे मु'आफ़ी भी दे
इतना अच्छा बशर कहीं नहीं है
मेरे इन रत्ब होठों के नीचे
क्यों तिरी ख़ुश्क सी जबीं नहीं है
एक ताज़ीर आँसुओं ने दी
तेरी तस्वीर हम-नशीं नहीं है
'अच्युतम' दिल इक ऐसा आसमाँ है
जिसके नीचे कोई ज़मीं नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Faith Shayari Shayari