maano mil aaye ajnabi se ham
jab mile aaj zindagi se ham
bas yahi kaamna hamesha rahi
tang aaye na shayari se ham
baap ko dekh kar ye jaana hai
koi hamse hai aur kisi se ham
aur kuchh ho na ho hamaare paas
hausla dete hain khushi se ham
ek-ik karke saansen ruksat keen
ho gaye khaak baansuri se ham
aap jab paida bhi nahin hue the
shayari karte the tabhi se ham
मानो मिल आए अजनबी से हम
जब मिले आज ज़िन्दगी से हम
बस यही कामना हमेशा रही
तंग आए न शायरी से हम
बाप को देख कर ये जाना है
कोई हमसे है और किसी से हम
और कुछ हो न हो हमारे पास
हौसला देते हैं ख़ुशी से हम
एक-इक करके साँसें रुख़्सत कीं
हो गए ख़ाक बाँसुरी से हम
आप जब पैदा भी नहीं हुए थे
शायरी करते थे तभी से हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Tamanna Shayari Shayari