manzar ab zindagi ke dekhte hain
aur zakhm apna si ke dekhte hain
khulk lahja banavti hi sahi
lahja sab aadmi ke dekhte hain
jo ho jaati hai baar baar kharaab
purze ham us ghadi ke dekhte hain
tab diwaale mein chain padta hai
aansu jab bhi khushi ke dekhte hain
ye hi to khaas baat hai ham mein
ham tamasha sabhi ke dekhte hain
teergi mein pale-badhe vo log
khwaab to raushni ke dekhte hain
मंज़र अब ज़िंदगी के देखते हैं
और ज़ख़्म अपना सी के देखते हैं
ख़ुल्क़ लहजा बनावटी ही सही
लहजा सब आदमी के देखते हैं
जो हो जाती है बार बार ख़राब
पुर्ज़े हम उस घड़ी के देखते हैं
तब दिवाले में चैन पड़ता है
आँसू जब भी ख़ुशी के देखते हैं
ये ही तो ख़ास बात है हम में
हम तमाशा सभी के देखते हैं
तीरगी में पले-बढ़े वो लोग
ख़्वाब तो रौशनी के देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Ujaala Shayari Shayari