mar gaye tum khud mein rahkar | मर गए तुम ख़ुद में रहकर

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

mar gaye tum khud mein rahkar
bolte hain aansu bahkar

shams ko fursat nahin thi
raushni khud aayi bahkar

uske hi malbe ne roka
kehna tha kuchh ghar ko dhadhakar

vo zaroor aayega ik din
vo na aaya aisa kahkar

raat mein bhi dhoondhoon main chaanv
beeta hai din dhoop sehkar

man wahan bhi lag na paaya
qabr mein bhi dekha rahkar

मर गए तुम ख़ुद में रहकर
बोलते हैं आँसू बहकर

शम्स को फ़ुर्सत नहीं थी
रौशनी ख़ुद आई बहकर

उसके ही मलबे ने रोका
कहना था कुछ घर को ढहकर

वो ज़रूर आएगा इक दिन
वो न आया ऐसा कहकर

रात में भी ढूँढूँ मैं छाँव
बीता है दिन धूप सहकर

मन वहाँ भी लग न पाया
क़ब्र में भी देखा रहकर

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari