mujhe pata nahin mera zameer kitne dar gaya | मुझे पता नहीं मिरा ज़मीर कितने दर गया - Achyutam Yadav 'Abtar'

mujhe pata nahin mera zameer kitne dar gaya
koi bataaye kyun main apni baaton se mukar gaya

main kho gaya tha unchi si haveliyon ki chaah mein
ki khojne mujhe mera hi ghar hazaaron ghar gaya

vo ashm baawla tha naasamjh tha aur sankee bhi
suna hai thokron ke intezar mein hi mar gaya

kisi ki aandhiyon se koi dushmani nahin hai par
hawaon ka badalta lahja jo bhi dekha dar gaya

bagiche si zubaan pe ek gul sa lahja boya tha
ruki jahaan se baatein uske aage tak asar gaya

chadhi hai jab se mere maathe par vo karz ki khizaan
yun lagta hai ki koi patta hothon se utar gaya

मुझे पता नहीं मिरा ज़मीर कितने दर गया
कोई बताए क्यों मैं अपनी बातों से मुकर गया

मैं खो गया था ऊँची सी हवेलियों की चाह में
कि खोजने मुझे मिरा ही घर हज़ारों घर गया

वो अश्म बावला था, नासमझ था और सनकी भी
सुना है ठोकरों के इंतज़ार में ही मर गया

किसी की आँधियों से कोई दुश्मनी नहीं है पर
हवाओं का बदलता लहजा जो भी देखा डर गया

बग़ीचे सी ज़ुबाँ पे एक गुल सा लहजा बोया था
रुकी जहाँ से बातें, उसके आगे तक असर गया

चढ़ी है जब से मेरे माथे पर वो कर्ज़ की ख़िज़ाँ
यूँ लगता है कि कोई पत्ता होठों से उतर गया

- Achyutam Yadav 'Abtar'
1 Like

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari