naqsh-e-tilism apna bata kar nahin gaya | नक़्श-ए-तिलिस्म अपना बता कर नहीं गया

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

naqsh-e-tilism apna bata kar nahin gaya
phoolon pe apni saansen luta kar nahin gaya

barsaat se dara hua vo tanhaa aadmi
kaaghaz ki koi kashti bana kar nahin gaya

aansu sayaane ho chuke hain meri aankhon ke
aur isliye main inko baha kar nahin gaya

ye kaise maanoon main ki vo aayega laut kar
koi dilaasa bhi to dila kar nahin gaya

us jaane waale se ye gila hi raha ki vo
jaate hue gale se laga kar nahin gaya

uske firaq se fazaa bhi ghamzda hui
toofaan bhi koi patta hila kar nahin gaya

ik wajah to mili hai masarrat ki achyutam
jaate hue hamein vo rula kar nahin gaya

नक़्श-ए-तिलिस्म अपना बता कर नहीं गया
फूलों पे अपनी साँसें लुटा कर नहीं गया

बरसात से डरा हुआ वो तन्हा आदमी
काग़ज़ की कोई कश्ती बना कर नहीं गया

आँसू सयाने हो चुके हैं मेरी आँखों के
और इसलिए मैं इनको बहा कर नहीं गया

ये कैसे मानूँ मैं कि वो आएगा लौट कर
कोई दिलासा भी तो दिला कर नहीं गया

उस जाने वाले से ये गिला ही रहा कि वो
जाते हुए गले से लगा कर नहीं गया

उसके फ़िराक़ से फ़ज़ा भी ग़मज़दा हुई
तूफ़ाँ भी कोई पत्ता हिला कर नहीं गया

इक वजह तो मिली है मसर्रत की 'अच्युतम'
जाते हुए हमें वो रुला कर नहीं गया

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari