pehle ghatta ko chhaane do | पहले घटा को छाने दो - Achyutam Yadav 'Abtar'

pehle ghatta ko chhaane do
paani zara sa aane do

jaayenge phir kabhi wahan
kuchh din use bulane do

daulat to muft mein mili
izzat ko to kamaane do

ye bachpana hi theek hai
titli ke par sajaane do

lau jism mein machalti hai
dil ka diya bujhaane do

uglenge dard apna ham
thokar to pehle khaane do

kisne kaha gunaah tha
ilzaam to lagaane do

ye paitraa nahin chala
kuchh aur aazmaane do

turbat ko chat bana liya
saanson ko ghar na jaane do

पहले घटा को छाने दो
पानी ज़रा सा आने दो

जाएँगे फिर कभी वहाँ
कुछ दिन उसे बुलाने दो

दौलत तो मुफ़्त में मिली
इज़्ज़त को तो कमाने दो

ये बचपना ही ठीक है
तितली के पर सजाने दो

लौ जिस्म में मचलती है
दिल का दिया बुझाने दो

उगलेंगे दर्द अपना हम
ठोकर तो पहले खाने दो

किसने कहा गुनाह था
इलज़ाम तो लगाने दो

ये पैतरा नहीं चला
कुछ और आज़माने दो

तुर्बत को छत बना लिया
साँसों को घर न जाने दो

- Achyutam Yadav 'Abtar'
0 Likes

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari