raakh karke mujhe saagar mein baha aayega | राख करके मुझे सागर में बहा आएगा

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

raakh karke mujhe saagar mein baha aayega
phir kisi din yahin ik paudha naya aayega

khoon ka taaz pehanke jo saja hai patthar
ab hawaon ko bhi ladne mein maza aayega

poochta to raha hai tumse ijaazat to do
kah do gar haan to vo khat khud hi chala aayega

aankh ka aab savere ki nami jaisa hai
aisa lagta hai mare ko bhi jaga aayega

mera eimaan agar maarna hai to phir sun
sabse pehle wahan par mera gala aayega

राख करके मुझे सागर में बहा आएगा
फिर किसी दिन यहीं इक पौधा नया आएगा

ख़ून का ताज़ पहनके जो सजा है पत्थर
अब हवाओं को भी लड़ने में मज़ा आएगा

पूछता तो रहा है तुमसे, इजाज़त तो दो
कह दो गर हाँ तो वो ख़त ख़ुद ही चला आएगा

आँख का आब सवेरे की नमी जैसा है
ऐसा लगता है मरे को भी जगा आएगा

मेरा ईमान अगर मारना है तो फिर सुन
सबसे पहले वहाँ पर मेरा गला आएगा

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari