raushan ho ke laut aaya hai
us pe buzurgon ka saaya hai
dahshat mein jeene waalon ko
jeene ka fan kab aaya hai
khasta-haali mein bhi diyon ne
taarikee ko dhamkaaya hai
dhool mein khele aaine ko
aab-e-chashm se chamkaaya hai
rab ne hamaare dil ko aakhir
jism mein hi kyun dafnaaya hai
dekh ke qudrat mein taarikee
ek sitaara ghabraaya hai
teri aankhon mein mere ashk
inko kisne bhatkaaya hai
dil ek aisa baag hai jisko
ranj-o-gham ne mahkaaya hai
रौशन हो के लौट आया है
उस पे बुज़ुर्गों का साया है
दहशत में जीने वालों को
जीने का फ़न कब आया है
ख़स्ता-हाली में भी दियों ने
तारीकी को धमकाया है
धूल में खेले आईने को
आब-ए-चश्म से चमकाया है
रब ने हमारे दिल को आख़िर
जिस्म में ही क्यों दफ़नाया है
देख के क़ुदरत में तारीकी
एक सितारा घबराया है
तेरी आँखों में मेरे अश्क
इनको किसने भटकाया है
दिल एक ऐसा बाग़ है जिसको
रंज-ओ-ग़म ने महकाया है
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading undefined Shayari