rah rah ke mujhe itna sataati hai udaasi | रह रह के मुझे इतना सताती है उदासी

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

rah rah ke mujhe itna sataati hai udaasi
aansu meri aankhon se churaati hai udaasi

tum sochte to hoge ki kiske liye aakhir
qaaleen in ashkon ki bichaati hai udaasi

jab dhoop masarrat ki mujhe lagti hai choone
saaye mein mujhe apne chhupaati hai udaasi

har waqt mujhe raaygaan saabit kiya usne
aur dekho to sar bhi na jhukaati hai udaasi

har mod pe lagta hai qaza paas hai apne
ik aisa ajooba bhi dikhaati hai udaasi

kehta hoon udaasi koi mahtaab nahin hai
suraj ki tarah sab ko jalaati hai udaasi

taqdeer varq maangti hai aur phir uspe
khushiyon se kahi pehle banaati hai udaasi

रह रह के मुझे इतना सताती है उदासी
आँसू मिरी आँखों से चुराती है उदासी

तुम सोचते तो होगे कि किसके लिए आख़िर
क़ालीन इन अश्कों की बिछाती है उदासी

जब धूप मसर्रत की मुझे लगती है छूने
साए में मुझे अपने छुपाती है उदासी

हर वक़्त मुझे रायगाँ साबित किया उसने
और देखो तो सर भी न झुकाती है उदासी

हर मोड़ पे लगता है क़ज़ा पास है अपने
इक ऐसा अजूबा भी दिखाती है उदासी

कहता हूँ उदासी कोई महताब नहीं है
सूरज की तरह सब को जलाती है उदासी

तक़दीर वरक़ माँगती है और फिर उसपे
ख़ुशियों से कहीं पहले बनाती है उदासी

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Bekhayali Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Bekhayali Shayari Shayari