tangdasti ka hi chehra ho gaya
main udaasi ka hi naqsha ho gaya
haath tere lagne ki deri thi bas
aadmi se main khilauna ho gaya
chip-chipakar mahangi cheezen rakhte hain
ab ye aansu kab se heera ho gaya
cheent ki aawaaze tak aati nahin
boonden kahti hain tu tanhaa ho gaya
aaj manzil ne tamaacha jad diya
rasta jo tedha tha seedha ho gaya
mas'ala to sirf meri chat ka hai
aapki buniyaad ko kya ho gaya
baadlon ko khud pe hairaani hui
sharm se jab aab peela ho gaya
aam patthar sa hi hai mera zameer
tera paaras jisse feeka ho gaya
apne barqat ki misaalen aake do
gaav se ab main bhi qasba ho gaya
achyutam tu to mahal mein rehta hai
dost ik tera sudama ho gaya
तंगदस्ती का ही चेहरा हो गया
मैं उदासी का ही नक़्शा हो गया
हाथ तेरे लगने की देरी थी बस
आदमी से मैं खिलौना हो गया
छिप-छिपाकर महँगी चीज़ें रखते हैं
अब ये आँसू कब से हीरा हो गया
छींट की आवाज़ें तक आती नहीं
बूँदें कहती हैं तू तन्हा हो गया
आज मंज़िल ने तमाचा जड़ दिया
रस्ता जो टेढ़ा था सीधा हो गया
मसअला तो सिर्फ़ मेरी छत का है
आपकी बुनियाद को क्या हो गया
बादलों को ख़ुद पे हैरानी हुई
शर्म से जब आब पीला हो गया
आम पत्थर सा ही है मेरा ज़मीर
तेरा पारस जिससे फ़ीका हो गया
अपने बरक़त की मिसालें आके दो
गाँव से अब मैं भी क़स्बा हो गया
'अच्युतम' तू तो महल में रहता है
दोस्त इक तेरा सुदामा हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Shama Shayari Shayari