tazeem mile tum ko ye aasaan nahin hai
ustaad bano yaa koi naadaan nahin hai
hansta hua ik pardaa mere kamre mein hoga
aur bas wahi us kamre ki pehchaan nahin hai
tanveer hai jarraar ki har ek kahaani
par unke gharo mein koi muskaan nahin hai
ehsaas bandhe mand hawaon ke badan se
ab darmiyaan inke koi toofaan nahin hai
nuqsaan to hone ko ho hi saka hai mera
par ismein bhi mera koi nuqsaan nahin hai
ehsaan ka hi karz ada kar raha hoon main
ye farz hai mera koi ehsaan nahin hai
ताज़ीम मिले तुम को, ये आसान नहीं है
उस्ताद बनो याँ कोई नादान नहीं है
हँसता हुआ इक परदा मिरे कमरे में होगा
और बस वही उस कमरे की पहचान नहीं है
तनवीर है जर्रार की हर एक कहानी
पर उनके घरों में कोई मुस्कान नहीं है
एहसास बँधे मंद हवाओं के बदन से
अब दरमियाँ इनके कोई तूफ़ान नहीं है
नुक़सान तो होने को हो ही सकता है मेरा
पर इसमें भी मेरा कोई नुक़सान नहीं है
एहसान का ही कर्ज़ अदा कर रहा हूँ मैं
ये फर्ज़ है मेरा कोई एहसान नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Kamar Shayari Shayari