tu aayi jaise os bahaaron pe aayi hai
bharne mujhe tu mere daraaron pe aayi hai
khalkhaal ban gaye hain ujaalon ke paanv ki
ik aisi aapda bhi sitaaron pe aayi hai
thukraaya dariya ko hi samandar ke pyaason ne
beemaari ek aisi hazaaron pe aayi hai
jisko samajhta tha main kabhi waqt ki raza
vo maut zindagi ke ishaaron pe aayi hai
us din use chura ke koi lehar le gayi
aur aaj uski yaad kinaaron pe aayi hai
तू आयी जैसे ओस बहारों पे आई है
भरने मुझे तू मेरे दरारों पे आई है
ख़लखाल बन गए हैं उजालों के पाँव की
इक ऐसी आपदा भी सितारों पे आई है
ठुकराया दरिया को ही समंदर के प्यासों ने
बीमारी एक ऐसी हज़ारों पे आई है
जिसको समझता था मैं कभी वक़्त की रज़ा
वो मौत ज़िन्दगी के इशारों पे आई है
उस दिन उसे चुरा के कोई लहर ले गयी
और आज उसकी याद किनारों पे आई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Qabr Shayari Shayari