ujaala apne haathon se mujhe bhi door kar deta | उजाला अपने हाथों से मुझे भी दूर कर देता

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

ujaala apne haathon se mujhe bhi door kar deta
agar main peeth peeche uske kuchh be-noor kar deta

yahan gumnaam deewaron mein ghut kar rahte hain varna
koi ik haadsa ham ko bahut mashhoor kar deta

jo deri thi vo bas tere taraf se hoti thi varna
main apni ungliyon ke khoon ko sindoor kar deta

dikhaane pe utar aaun main apna toota-foota dil
mujhe bhi kaash koi itna hi majboor kar deta

kahi gaayab hai din bhar dhoop dene waala vo suraj
mera bas gar chale to chaand ko main noor kar deta

उजाला अपने हाथों से मुझे भी दूर कर देता
अगर मैं पीठ पीछे उसके कुछ बे-नूर कर देता

यहाँ गुमनाम दीवारों में घुट कर रहते हैं वरना
कोई इक हादसा हम को बहुत मशहूर कर देता

जो देरी थी वो बस तेरे तरफ से होती थी वरना
मैं अपनी उँगलियों के ख़ून को सिन्दूर कर देता

दिखाने पे उतर आऊँ मैं अपना टूटा-फूटा दिल
मुझे भी काश कोई इतना ही मजबूर कर देता

कहीं गायब है दिन भर धूप देने वाला वो सूरज
मिरा बस गर चले तो चाँद को मैं नूर कर देता

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari