ye waahiyaat si niyat ubaal kar dekho | ये वाहियात सी नीयत उबाल कर देखो

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

ye waahiyaat si niyat ubaal kar dekho
phir us me boonden sharaafat ki daal kar dekho

qaza ke baad isee dil mein dafn honge ham
zara si mitti ko seene mein paal kar dekho

tumhaare haath lagunga ya munh ki khaaunga
yahi sawaal hai mujh ko uchaal kar dekho

karegi raakh tamooz-e-zameer ik pal mein
farebi jism ko ghar se nikaal kar dekho

main ik kataar se talwaar ban ke aaunga
mujhe miyaan mein kuchh din to daal kar dekho

ये वाहियात सी नीयत उबाल कर देखो
फिर उस मे बूँदें शराफ़त की डाल कर देखो

क़ज़ा के बाद इसी दिल में दफ़्न होंगे हम
ज़रा सी मिट्टी को सीने में पाल कर देखो

तुम्हारे हाथ लगूँगा या मुँह की खाऊँगा
यही सवाल है मुझ को उछाल कर देखो

करेगी राख तमूज़-ए-ज़मीर इक पल में
फ़रेबी जिस्म को घर से निकाल कर देखो

मैं इक कटार से तलवार बन के आऊँगा
मुझे मियान में कुछ दिन तो डाल कर देखो

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari