zindagi ke liye kuchh naya chahiye | ज़िंदगी के लिए कुछ नया चाहिए

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

zindagi ke liye kuchh naya chahiye
aur phir maut ka bhi pata chahiye

in andheron mein chalne ki aadat si hai
so hamein to diya bhi bujha chahiye

main to jannat bhi thukra doon tere liye
mujhko dil tak ka ik raasta chahiye

kyun tu patthar bana ke rakhi hai mujhe
jeene ko mujhko thodi hawa chahiye

vaham tera nikalta nahin mujh mein se
ab to is marz ki bhi dava chahiye

ज़िंदगी के लिए कुछ नया चाहिए
और फिर मौत का भी पता चाहिए

इन अँधेरों में चलने की आदत सी है
सो हमें तो दिया भी बुझा चाहिए

मैं तो जन्नत भी ठुकरा दूँ तेरे लिए
मुझको दिल तक का इक रास्ता चाहिए

क्यों तू पत्थर बना के रखी है मुझे
जीने को मुझको थोड़ी हवा चाहिए

वहम तेरा निकलता नहीं मुझ में से
अब तो इस मर्ज़ की भी दवा चाहिए

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari