zindagi le gai jidhar mujh ko | ज़िन्दगी ले गई जिधर मुझ को

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

zindagi le gai jidhar mujh ko
bas karaati rahi safar mujh ko

ai nazar ko utaarne waale
lag gai aapki nazar mujh ko

duniya baahar ki dekh li yaaron
raas aane laga hai ghar mujh ko

main to ulfat ke raaste pe hoon
le ke jaayega ye kidhar mujh ko

haal kaisa hai mera aur kahaan hoon
de de koi meri khabar mujh ko

khud ko main ab usi mein dhundhta hoon
chaaha hai usne is qadar mujh ko

chaandni se khafa hoon phir kisne
tohfe mein de diya qamar mujhko

humsafar ki talash hai jaanaan
tujh ko to mil gaya hai par mujh ko

ज़िन्दगी ले गई जिधर मुझ को
बस कराती रही सफ़र मुझ को

ऐ नज़र को उतारने वाले
लग गई आपकी नज़र मुझ को

दुनिया बाहर की देख ली यारों
रास आने लगा है घर मुझ को

मैं तो उलफ़त के रास्ते पे हूँ
ले के जाएगा ये किधर मुझ को

हाल कैसा है मेरा और कहाँ हूँ
दे दे कोई मिरी ख़बर मुझ को

ख़ुद को मैं अब उसी में ढूँढ़ता हूँ
चाहा है उसने इस क़दर मुझ को

चाँदनी से ख़फ़ा हूँ फिर किसने
तोहफ़े में दे दिया क़मर मुझको

हमसफ़र की तलाश है जानाँ
तुझ को तो मिल गया है, पर मुझ को?

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari