zindagi ne mere saath kya kya kiya
khol deen meri aankhen ye achha kiya
apni manzil pe aa hi na paate kabhi
hamne hi raston ke saath dhoka kiya
dekhkar is gareebi ka aalam hi to
dhoop ne der tak mujhpe saaya kiya
ek mallaah ki khoj hai doston
yaad-e-dilbar ne dil ko safeena kiya
ek ehsaan se kam nahin hai ye bhi
maut ne zindagi ka qarz halka kiya
chaandni mere hisse mein aayi nahin
maine mahtaab ka khoob peecha kiya
achyutam tha shahenshah main bhi kabhi
waqt ne taaj ko mere qaasa kiya
ज़िन्दगी ने मेरे साथ क्या क्या किया
खोल दीं मेरी आँखें ये अच्छा किया
अपनी मंज़िल पे आ ही न पाते कभी
हमने ही रस्तों के साथ धोका किया
देखकर इस ग़रीबी का आलम ही तो
धूप ने देर तक मुझपे साया किया
एक मल्लाह की खोज है दोस्तों
याद-ए-दिलबर ने दिल को सफ़ीना किया
एक एहसान से कम नहीं है ये भी
मौत ने ज़ीस्त का क़र्ज़ हल्का किया
चाँदनी मेरे हिस्से में आई नहीं
मैंने महताब का ख़ूब पीछा किया
'अच्युतम' था शहंशाह मैं भी कभी
वक़्त ने ताज को मेरे कासा किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Zindagi Shayari Shayari