agar ki simatti koo se kuchh nahin ho saka | ज़ुल्फ़ों की सिमटती कू से कुछ नहीं हो सकता

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

agar ki simatti koo se kuchh nahin ho saka
chaugird chali khushboo se kuchh nahin ho saka

tairaaki ka fan gar hai to theek hai sab warna
is past pade chappu se kuchh nahin ho saka

kaajal ko to aankhon ka shab maante ho aur phir
kahte ho ki ik jugnoo se kuchh nahin ho saka

katwaaya gawaahi ne ik umr salaakhon mein
ham kahte the is chaaqoo se kuchh nahin ho saka

do pal ke liye qarze ko dharti pe rakhna hai
bazu to hain par bazu se kuchh nahin ho saka

ज़ुल्फ़ों की सिमटती कू से कुछ नहीं हो सकता
चौगिर्द चली ख़ुशबू से कुछ नहीं हो सकता

तैराकी का फ़न गर है तो ठीक है सब वर्ना
इस पस्त पड़े चप्पू से कुछ नहीं हो सकता

काजल को तो आँखों का शब मानते हो और फिर
कहते हो कि इक जुगनू से कुछ नहीं हो सकता

कटवाया गवाही ने इक उम्र सलाख़ों में
हम कहते थे इस चाक़ू से कुछ नहीं हो सकता

दो पल के लिए क़र्ज़े को धरती पे रखना है
बाज़ू तो हैं पर बाज़ू से कुछ नहीं हो सकता

  - Achyutam Yadav 'Abtar'

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari