aa gaye kaise ajab din raushni ke
hain charaagh-e-raah khaadim teergi ke
chaal iski jab kabhi main bhaanp paaya
paintare fauran hi badle zindagi ke
maal jiska naam uska kar diya gul
aajkal haalaat ye hain shaayri ke
mil nahin sakte hain phir bhi saath yun hain
do kinaare ham hon jaise ik nadi ke
har gali khoon-e-jigar tapka rahe ho
kaun se ye hain tariqe rahbari ke
ab nahin afshaar ko dar dushmani ka
jab se asli rang dekhe dosti ke
आ गए कैसे अजब दिन रौशनी के
हैं चराग़-ए-राह ख़ादिम तीरगी के
चाल इसकी जब कभी मैं भाँप पाया
पैंतरे फ़ौरन ही बदले ज़िंदगी के
माल जिसका नाम उसका कर दिया गुल
आजकल हालात ये हैं शाइरी के
मिल नहीं सकते हैं फिर भी साथ यूँ हैं
दो किनारे हम हों जैसे इक नदी के
हर गली ख़ून-ए-जिगर टपका रहे हो
कौन से ये हैं तरीक़े रहबरी के
अब नहीं “अफ़्शार” को डर दुश्मनी का
जब से असली रंग देखे दोस्ती के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jarnail Afshaar
our suggestion based on Jarnail Afshaar
As you were reading Nafrat Shayari Shayari