ulfat hui to dard se bhi raabta hua | उल्फ़त हुई तो दर्द से भी राब्ता हुआ - Jarnail Afshaar

ulfat hui to dard se bhi raabta hua
tum par ghazal kahi to jafaa qaafiya hua

phir husn aur ishq nahin ek ho sake
aur phir jahaan mein dard-davaa ek sa hua

nikla hai naam lab se sar ae bazm tab tera
jab sher mein raqeeb ke zikr-e-wafa hua

main be-naqaab kar doon use aaj hi magar
us par yaqeen aaj bhi hai kuchh bacha hua

jab kashtiyon ke haq mein gawaahi bhanwar ne di
saabit qusoorwaar tabhi na-khuda hua

marte hue bhi baap ne bacchon ko di dua
jun de raha ho chaanv shajar sookhta hua

khaamoshiyon ne bein kiye hain meri bahut
jab jab mara hai khaab mera cheekhta hua

afshaar la-jawaab sukhanvar to hai wahi
ashaar jo kahe to lage mojiza hua

उल्फ़त हुई तो दर्द से भी राब्ता हुआ
तुम पर ग़ज़ल कही तो जफ़ा क़ाफ़िया हुआ

फिर हुस्न और इश्क़ नहीं एक हो सके
और फिर जहाँ में दर्द-दवा एक सा हुआ

निकला है नाम लब से सर ए बज़्म तब तेरा
जब शेर में रक़ीब के ज़िक्र-ए-वफ़ा हुआ

मैं बे-नक़ाब कर दूँ उसे आज ही मगर
उस पर यक़ीन आज भी है कुछ बचा हुआ

जब कश्तियों के हक़ में गवाही भँवर ने दी
साबित क़ुसूरवार तभी ना-ख़ुदा हुआ

मरते हुए भी बाप ने बच्चों को दी दुआ
जूँ दे रहा हो छाँव शजर सूखता हुआ

खामोशियों ने बैन किए हैं मेरी बहुत
जब जब मरा है ख़ाब मेरा चीखता हुआ

अफ़्शार ला-जवाब सुख़नवर तो है वही
अशआर जो कहे तो लगे मोजिज़ा हुआ

- Jarnail Afshaar
2 Likes

Dua Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jarnail Afshaar

As you were reading Shayari by Jarnail Afshaar

Similar Writers

our suggestion based on Jarnail Afshaar

Similar Moods

As you were reading Dua Shayari Shayari