uski koi khabar nahin yaaron
phir bhi koi asar nahin yaaron
phool khilte hon jinpe chaahat ke
aisa koi shajar nahin yaaron
mere gham ko jo padh sake ik baar
aisi koi nazar nahin yaaron
maine gardish mein aazmaaya tha
koi bhi ham safar nahin yaaron
jaam chhalaka ye haath se mere
aur hamko khabar nahin yaaron
ab bhatk jaata hoon mohalle mein
pehle sa ye nagar nahin yaaron
ik dafa mein samajh gaya hoon main
ishq ab is qadar nahin yaaron
isliye hamse sab pareshaan hain
ham mein koi hunar nahin yaaron
haath choomenge ham atul kiske
ab koi mo'tabar nahin yaaron
उसकी कोई ख़बर नहीं यारों
फिर भी कोई असर नहीं यारों
फूल खिलते हों जिनपे चाहत के
ऐसा कोई शजर नहीं यारों
मेरे ग़म को जो पढ़ सके इक बार
ऐसी कोई नज़र नहीं यारों
मैंने गर्दिश में आज़माया था
कोई भी हम सफ़र नहीं यारों
जाम छलका ये हाथ से मेरे
और हमको ख़बर नहीं यारों
अब भटक जाता हूँ मुहल्ले में
पहले सा ये नगर नहीं यारों
इक दफ़ा में समझ गया हूँ मैं
इश्क़ अब इस क़दर नहीं यारों
इसलिए हमसे सब परेशाँ हैं
हम में कोई हुनर नहीं यारों
हाथ चूमेंगे हम अतुल किसके
अब कोई मो'तबर नहीं यारों
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Atul Kumar
our suggestion based on Atul Kumar
As you were reading Aankhein Shayari Shayari